Kuch To Hawa Bhi Sard Thi.



Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi

Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malal Bhi

Baat Wo Aadhi Raat Ki Raat Wo Pore Chand Ki

Chand Bhi Ain Chodvn Ka Us Pe Tera Jamal Bhi

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Aise Dekhte

Ek Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi

Dil To Chamak Sake Ga Kya Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo

Shishaa Garan-e-shahar Ke Hath Ka Ye Kamal Bhi

Us Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajib Haal Tha

Ab Jo PalaT Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi

Meri Talab Tha Ek ShaKhs Wo Jo Nahin Mila To Phir

Haath Dua Se YuN Gira Bhool Gaya Sawal Bhi

Shaam Ki Nasamajh Hawa Puuch Rahi Hai Ek Pata

Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi

Us Ke Hi Bazoun Main Aur Us Ko Hi Sochte Rahe

Jism Ki Khwahishon Pe The Ruh Ke Aur Jaal Bhii