Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai
Mohabbat Mein
Main Bola, Theek Hai Per Ishq To
Imaan Hota Hai
Woh Boli, Aarzuein Dil Ke Andsar Been
Karti Hain
Main Bola, Theek Hai Mujh Ko Sunayi
Deten Hain
Woh Boli, Hum To Jaise Eik Musalsal
Dukh Ke Qaidi Hain
Main Bola, Theek Hai Yeh Zindagi Dukh
Ka Tasalsul Hai
Woh Boli, Koi Shab To Khwab Mein Bhi
Khwab Aate Hain
Main Bola, Theek Hai Kuch Hasratein
Aise Bhi Karti Hain
Woh Boli, Baarishon Mein Aur Zyada
Jaan Sulagti Hai
Main Bola, Theek Hai Yeh Aag Paani Ke
Masail Hain
Woh Boli, Raat Kyun Mushkil Se Kat'ti
Hai Judai Mein
Main Bola, Waqt To Kaifyaton Ka Naam
Hota Hai
Woh Boli, Chahaton Mein Dard Ke Rehne
Ki Khwaish Kyun
Main Bola, Dard Ke Maare Huon Ko
Chain Milta Hai
Woh Boli, Rooh Ki Aasodgi Ko Kya
Zaroori Hai
Main Bola, Rooh Ko Aalodgi Achi Nahin
Lagti
Woh Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kya
Kahani Hai
Main Bola, Aadam-o-Hawa Kki Chahat Ki
Nishaani Hai
Woh Boli, Be-Saropa Khwaishein Beemar
Rakhti Hain
Main Bola, Aadmi Andoa Ke Batin Se
Nikla Hai
Woh Boli, Door Reh Ker Dard Barh Jata
Hai Seene Mein
Main Bola, Qurbatein Bhi Hijar Ke
Khudshe Barhaati Hain
Woh Boli, Shaam Hote Hi Udaasi Phail
Jaati Hai
Main Bola, Raat Bhi To Aansuon Se
Ishq Karti Hai
Woh Boli, Zindagi Mein Tu Nahi To
Zindagi Kab Hai
Main Bola, Har Taraf Ik La-Ubali Maut
Hadwi Hai
Woh Boli, Ishq Ka Apna Ilehda Rang
Hota Hai
Main Bola, Rang Ka Apna Ilehda Ishq
Hota HAi
Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Wajah Sa
Khauf Rehta Hai
Main Bola, Ishq To Be-Baak Logon Ka
Hi Shewa Hai
Mohabbat Eik Pal Bhi Sukh Nahi Deti,
Kaha Us Ne
Kaha MAin Ne, Mohabbat Ke Ilawa Kaun
Sa Sukh Hai
Mohabbat Shehar Bhar Mein Goonj Jaati
Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Ke Chupa Rehne
Ki Khwaish Kiya
Mohabbat Chup Nahi Rehti Kisi Pal
Bhi, Kaha Us Nne
Kaha Mmain Ne, Mohabbat Bin To
Kayinaat Goongi Hai
Mohabbat Zehan Ka Ik Khaas Aalim Hai,
Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Rooh Ki
Dehleez Hoti Hai
Mohabbat Be-Sabab Tarpaye Rakhti Hai,
Kaha Us Ne
Kaha Main Ne Ke Yeh Asbaab Kya Shai
Hai Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai Sitaare Aansuon Mmein
Kyun Chamakte Hain
Main Kehta Hoon Mohabbat Roshni Mein
Rang Bharti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa Ke Haath Mein Kya
Kya Nahi Aata
Main Kehta Hoon, Jo Dehleezon Ke
Andar Dafan Hota Hai
Woh Kehti Hai, amaane Ko Dilon Se
Ranj Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Yeh Aazar To Sadiyon
Ki Qismat Hai
Woh Kehti Hai, Tumhaare Baad Kyun
Baarish Nahi Hoti
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Hijar
Sehraon Mein Rehta Hai
Woh Kehti Hai, Ke Khushiyon Mein Bhi
Tum To Rone Lagte Ho
Main Kehta Hoon, Meri Aankhon Ko Sawan
Acha Lagta Hai
Woh Boli, Tum Bhi Farhat Zindagi Se
Rooth Jao Ge
Main Bola, Han, Shayed Mmaut Mujh Se
Maan Jaye Gi
Woh Boli, Tum Khushi Ke Geet Ko
Mayoos Karte Ho
Main Bola, Kya Karoon In Mukhtasar
Geeton Ka Mausam Hai
Woh Boli, Tum To Farhat Khud Hi Khud
Se Haar Jaate Ho
Main Bola, Kya Karoon Kamzor Hoon Aur
Be-Sahara Hoon
Woh Boli, Kya Yeh Sab Kuch Itefaqan
Hai Tumhara Gham
Main Bola, Yeh Bhi Mumkin Hai Yeh Sab
Ehtaraman Ho
Mohabbat Mein Ghamon Ki Is Kadar
Yalghar Kyun,.. Boli
Main Bola, Tum Kisi Din Yeh To Apne
Aap Se Poocho
Woh Kehti Hai , Suno Farhat! Tumhara
Khwab Kyun Toota
Main Kehta Hoon, Sarabi! Dil Mein Koi
Kheench Parhti Thi
Tumhari Shairy Mein Zindagi Ki
Siskiyan Kyun Hain
Main Bola, Aansuon Ki Ibtadayi Shakal
Joh Thehri
Woh Kehti Hai Ke Farhat Shah Main
Kuch Muztarib Si Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Tum To Meri
Rooh Jaisi Ho
Woh Kehti Hai, Tumein Kyun Khauf Aata
Hai Hawaon Se
Main Kehta Hoon, Sarabi! Deep To Aise
Hi Hote Hain
Woh Kehti Hai, Chalo Farhat! Hawa Ke
Saath Chalte Hain
Main Khamoshi Se Us Ke Saath Chal
Deta Hoon Bujhne Ko
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan
Gayab Ho Sadiyon Se
Main Kehta Hoon, Hazaron Wasooson Ke
Darmiyaan Gum Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki
Bechainiyan
Kya Hain
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Dooriyon Ke
Dil Mein Hoti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khauf Ka
Doraniya Kya Hai
Main Kehta Hoon, Jo Dil Aur Gham Ka
Hota Hai Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badlon Ki
Umr Kitni Hai
Main Kehta Hoon, Tamazat Ke Mutabiq
Paniyon Ke Waqt Jitni Hai
Woh Mujhse Poochti Hai, Raat Itni
Be-zuban Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Zuban To Dard Ki
Shiddat Se Hoti Hai
Woh Kehti Hai, Yeh Khamoshi Bhi Kuch
To Sochti Hogi
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Ghuftugo Ki
Bheer Mein Kho Jaye
Woh Kehti Hai, Ke Farhat Kuch Dinon
Se Bolte Kam Ho
Main Kehta Hoon, Kayi Dukh Bolne Se
Rok Dete Hain
Woh Kehti Hai, Mujhe Yeh Soch Ker
Batla Main Kaisi Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Sochne Mein
Waqt Lagta Hai
Main Kehta Hoon, Tumhein Darya Kinare
Kaise Lagte Hein
Woh Kehti Hai Tumhein Bichare Sahare
Kaise Lagte Hein
Main Kehta Hoon, Mujhe Tum Hansti
Gaati Achi Lagti Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Dard Se
Darne Lage Ho Kya
Woh Boli, Raat Se Kya Baat Karte Ho
Akele Mein
Main Bola, Dard Ki, Kuch Kuch
Mohabbat Ki,
Judai Ki
Woh Boli, Chand Kya Aata Hai Tum Se
Chonchlein Karne
Main Bola, Haan Kabhi Sapnon Ke
Aangan Mein Utarta Hai
Woh Boli, Kaun Aksar Yaad Aata Hai
Udaasi Mein
Main Bola, Kuch Puraane Raaste,
Bachpan Aur Ik Larki
Woh Boli, Dard Ki Jaziyaat Mein Parne
Se Kya Behtar
Main Bola, Dard Ko Khush Khush Sahein
Aur Kooch Kar Jayein
Woh Boli, Zindagi To Dairon Ke
Phailne Se Hai
Main Bola, Maut Bhi Ik Daira Hai Door
Tak Phaila
Woh Boli, Rooh Ke Andar Kahin Per Aag
Jalti Hai
Main Bola, Haan Dhuan Main Ne Bhi
Dekha Hai Nigahon Mein
Woh Boli, Ik Dahekta Shor Sharyanon
Mein Behta Hai
Main Bola, Haan Badan Per Aabley
Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Saans Per Bhi Dard Ke
Korhay Baraste Hein
Main Bola, Haan Lahoo Per Neel To
Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Zaat Ki Teh Mein Na Jaane
Kya Nahan Hoga
Main Bola, Jism Per Ubhri Waredon Se
Bhi Zahir Hai
Woh Boli, Daq Zada Jeevan Chupati
Phir Rahi Hoon
Main Bola, Nakhunon Ki Zardiyon Ne
Ker Diya Aryan
Woh Kehti Hai, Teri Jaibon Mein Itne
Khwab Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Mein Mujhe
Zinda Bhi Rehna Hai
Woh Kehti Hai, Tere Kalar Pe Mitti Ka
Nishaan Kaise
Main Kehta Hoon Ke Majboori Alamat
Chor Jati Hai
Woh Kehti Hai, Teri Aawaz Mein
Masoomiyat Si Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Mazloomiyat Ke
Baad Aati Hai
Woh Kehti Hai, Tere Chehre Pe Karb
Be-Karan Kaisa
Main Bola, Dil Ne Chehre Per Zara Sa
Rang Chora Hai
Woh Kehti Hai, Tere Haathon Pe
Zakhmon Ke Manazir Kyun
Main Kehta Hoon Ke Kuch Zevar Bare
Anmol Hote Hain
Woh Boli, Umar Beeti Koi Bhi Milne
Nahi Aaya
Main Bola, Umar Se Pooch Ke Aakhir
Umar Kyun Beeti
Woh Boli, Husn Dhalne Ke Liye Hota
Hai, Lagta Hai
Main Bola, Husn Ho, Ya Bakht Ho, Ya
Chand Sooraj Hon
Woh Ab To Zulfon Mein Bhi Chandi Si
Sarak Aayi
Main Bola, Rooh Tak Main Bhi
Dararhein Parh Gayi Hongi
Woh Boli, Haath Dekho Be-Iradah Hi
Larazte Hain
Main Bola, Haath Dikhlao To Phir
Dekho Bhi Himmat Se
Woh Boli, Zindagi Ka Aakhri Kardaar
Hairat Hai
Main Bola, Maut Se Pehle Koi Ghar
Baar Hairat Hai...