Kahin eK Khoobsurat Nazuk si Ladki..!


Kahin ek Khoobsurat Nazuk si Ladki - ZARA Masoom ZARA Chanchal si ......
Hamein Apne khwabon ke agosh mein paa kar - Kabhi neend main muskurati toh hogi ....
Usi neend main karwatein badal kar - Sirhane se takiye girati toh hogi ....
Wohi khwab din ki khamoshi main sata kar - Unhe man he man lubhate toh honge ....
Kayi saaz seene ki khamoshiyon main - Hamari yaad se jhun jhunate toh honge ....
Woh besaqhta dhime dhime suron main - Hamari dhun main kuch gun-gunati toh hongi..
Biti hui raat ke khwaab ko gumaan kar - Woh Mand Mand Sharmati toh hongi .....
Hamein Khat likhne wo baithi toh hongi - Magar ungliyan kapkapati toh hongi ....
Qalam haath se chooth jata toh hoga - Magar qalam phir say uthati toh hongi .....
Hamara naam apni kitabon pe likh kar - Woh Danton main ungli dabati toh hongi ...
Apni saheliyon se ziqr hamara kar - Baat baat par 'Hai Allah' chillati toh hongi ....
Zuban se kabhi uff nikalti tu hogi - Badan dheeme dheeme sulagta toh hoga ....
Raat ko bechaini na din ko Qaraar - Shab se Saher tak hamari yaad satati toh hogi ....
Kahin ke kahin paon parte toh honge - Zameen pe dupata larazta toh hoga .....
Kabhi subah ko shaam kehti toh hongi - Kabhi raat ko din banati toh hongi .....
Ek Khoobsurat Nazuk si Ladki - ZARA Masoom ZARA Chanchal si ......
.... Kahin na Kahin toh hongi .....