Sad Urdu Poetry | Tujhe Ishq ho Khuda kary ...




Tujhe Ishq ho Khuda kary
Koi us ko tujh sy juda kary

Tery hoont hasna bhool jain
Teri aankh pur-nam raha kary

Tu us ki batain kia kary
Tu us ki batain suna kary

Tu us ko dekh k ruka kary
Wo tujh ko dekh k chala kary

Tujhe sehar ki wo chhari lagy
Tu Milan ki har pal dua kary

Tu tarpy us k Ishq main
Usy bhoolny ki Dua kary

Tujhy Ishq ho phr yaqeen ho
Usy tasbiyoon main perha kary

Tery samny tera ghar jaly
Tera bus chaly na bacha saky

Tera Dil yehi Dua kary
Na ghar kisi ka jala kary…….