Beautiful Poetry Urdu | Woh Boli...




Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein

Main Bola, Theek Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai

Woh Boli, Aarzuein Dil Ke Andsar Been Karti Hain

Main Bola, Theek Hai Mujh Ko Sunayi Deten Hain

Woh Boli, Hum To Jaise Eik Musalsal Dukh Ke Qaidi Hain

Main Bola, Theek Hai Yeh Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hai

Woh Boli, Koi Shab To Khwab Mein Bhi Khwab Aate Hain

Main Bola, Theek Hai Kuch Hasratein Aise Bhi Karti Hain

Woh Boli, Baarishon Mein Aur Zyada Jaan Sulagti Hai

Main Bola, Theek Hai Yeh Aag Paani Ke Masail Hain

Woh Boli, Raat Kyun Mushkil Se Kat'ti Hai Judai Mein

Main Bola, Waqt To Kaifyaton Ka Naam Hota Hai

Woh Boli, Chahaton Mein Dard Ke Rehne Ki Khwaish Kyun

Main Bola, Dard Ke Maare Huon Ko Chain Milta Hai

Woh Boli, Rooh Ki Aasodgi Ko Kya Zaroori Hai

Main Bola, Rooh Ko Aalodgi Achi Nahin Lagti

Woh Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kya Kahani Hai

Main Bola, Aadam-o-Hawa Kki Chahat Ki Nishaani Hai

Woh Boli, Be-Saropa Khwaishein Beemar Rakhti Hain

Main Bola, Aadmi Andoa Ke Batin Se Nikla Hai

Woh Boli, Door Reh Ker Dard Barh Jata Hai Seene Mein

Main Bola, Qurbatein Bhi Hijar Ke Khudshe Barhaati Hain

Woh Boli, Shaam Hote Hi Udaasi Phail Jaati Hai

Main Bola, Raat Bhi To Aansuon Se Ishq Karti Hai

Woh Boli, Zindagi Mein Tu Nahi To Zindagi Kab Hai

Main Bola, Har Taraf Ik La-Ubali Maut Hadwi Hai

Woh Boli, Ishq Ka Apna Ilehda Rang Hota Hai

Main Bola, Rang Ka Apna Ilehda Ishq Hota HAi

Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Wajah Sa Khauf Rehta Hai

Main Bola, Ishq To Be-Baak Logon Ka Hi Shewa Hai

Mohabbat Eik Pal Bhi Sukh Nahi Deti, Kaha Us Ne

Kaha MAin Ne, Mohabbat Ke Ilawa Kaun Sa Sukh Hai

Mohabbat Shehar Bhar Mein Goonj Jaati Hai, Kaha Us Ne

Kaha Main Ne, Mohabbat Ke Chupa Rehne Ki Khwaish Kiya

Mohabbat Chup Nahi Rehti Kisi Pal Bhi, Kaha Us Nne

Kaha Mmain Ne, Mohabbat Bin To Kayinaat Goongi Hai

Mohabbat Zehan Ka Ik Khaas Aalim Hai, Kaha Us Ne

Kaha Main Ne, Mohabbat Rooh Ki Dehleez Hoti Hai

Mohabbat Be-Sabab Tarpaye Rakhti Hai, Kaha Us Ne

Kaha Main Ne Ke Yeh Asbaab Kya Shai Hai Mohabbat Mein

Woh Kehti Hai Sitaare Aansuon Mmein Kyun Chamakte Hain

Main Kehta Hoon Mohabbat Roshni Mein Rang Bharti Hai

Woh Kehti Hai, Hawa Ke Haath Mein Kya Kya Nahi Aata

Main Kehta Hoon, Jo Dehleezon Ke Andar Dafan Hota Hai

Woh Kehti Hai, amaane Ko Dilon Se Ranj Kyunkar Hai

Main Kehta Hoon, Yeh Aazar To Sadiyon Ki Qismat Hai

Woh Kehti Hai, Tumhaare Baad Kyun Baarish Nahi Hoti

Main Kehta Hoon, Meri Jaan Hijar Sehraon Mein Rehta Hai

Woh Kehti Hai, Ke Khushiyon Mein Bhi Tum To Rone Lagte Ho

Main Kehta Hoon, Meri Aankhon Ko Sawan Acha Lagta Hai

Woh Boli, Tum Bhi Farhat Zindagi Se Rooth Jao Ge

Main Bola, Han, Shayed Mmaut Mujh Se Maan Jaye Gi

Woh Boli, Tum Khushi Ke Geet Ko Mayoos Karte Ho

Main Bola, Kya Karoon In Mukhtasar Geeton Ka Mausam Hai

Woh Boli, Tum To Farhat Khud Hi Khud Se Haar Jaate Ho

Main Bola, Kya Karoon Kamzor Hoon Aur Be-Sahara Hoon

Woh Boli, Kya Yeh Sab Kuch Itefaqan Hai Tumhara Gham

Main Bola, Yeh Bhi Mumkin Hai Yeh Sab Ehtaraman Ho

Mohabbat Mein Ghamon Ki Is Kadar Yalghar Kyun,.. Boli

Main Bola, Tum Kisi Din Yeh To Apne Aap Se Poocho

Woh Kehti Hai , Suno Farhat! Tumhara Khwab Kyun Toota

Main Kehta Hoon, Sarabi! Dil Mein Koi Kheench Parhti Thi

Tumhari Shairy Mein Zindagi Ki Siskiyan Kyun Hain

Main Bola, Aansuon Ki Ibtadayi Shakal Joh Thehri

Woh Kehti Hai Ke Farhat Shah Main Kuch Muztarib Si Hoon

Main Kehta Hoon, Sarabi! Tum To Meri Rooh Jaisi Ho

Woh Kehti Hai, Tumein Kyun Khauf Aata Hai Hawaon Se

Main Kehta Hoon, Sarabi! Deep To Aise Hi Hote Hain

Woh Kehti Hai, Chalo Farhat! Hawa Ke Saath Chalte Hain

Main Khamoshi Se Us Ke Saath Chal Deta Hoon Bujhne Ko

Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan Gayab Ho Sadiyon Se

Main Kehta Hoon, Hazaron Wasooson Ke Darmiyaan Gum Hoon

Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki Bechainiyan 
Kya Hain

Main Kehta Hoon, Wohi Jo Dooriyon Ke Dil Mein Hoti Hain

Woh Mujh Se Poochti Hai, Khauf Ka Doraniya Kya Hai

Main Kehta Hoon, Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Mein

Woh Mujh Se Poochti Hai, Badlon Ki Umr Kitni Hai

Main Kehta Hoon, Tamazat Ke Mutabiq Paniyon Ke Waqt Jitni Hai

Woh Mujhse Poochti Hai, Raat Itni Be-zuban Kyun Hai

Main Kehta Hoon, Zuban To Dard Ki Shiddat Se Hoti Hai

Woh Kehti Hai, Yeh Khamoshi Bhi Kuch To Sochti Hogi

Main Kehta Hoon, Wohi Jo Ghuftugo Ki Bheer Mein Kho Jaye

Woh Kehti Hai, Ke Farhat Kuch Dinon Se Bolte Kam Ho

Main Kehta Hoon, Kayi Dukh Bolne Se Rok Dete Hain

Woh Kehti Hai, Mujhe Yeh Soch Ker Batla Main Kaisi Hoon

Main Kehta Hoon, Sarabi! Sochne Mein Waqt Lagta Hai

Main Kehta Hoon, Tumhein Darya Kinare Kaise Lagte Hein

Woh Kehti Hai Tumhein Bichare Sahare Kaise Lagte Hein

Main Kehta Hoon, Mujhe Tum Hansti Gaati Achi Lagti Ho

Woh Mujh Se Poochti Hai, Dard Se Darne Lage Ho Kya

Woh Boli, Raat Se Kya Baat Karte Ho Akele Mein

Main Bola, Dard Ki, Kuch Kuch Mohabbat Ki, 
Judai Ki

Woh Boli, Chand Kya Aata Hai Tum Se Chonchlein Karne

Main Bola, Haan Kabhi Sapnon Ke Aangan Mein Utarta Hai

Woh Boli, Kaun Aksar Yaad Aata Hai Udaasi Mein

Main Bola, Kuch Puraane Raaste, Bachpan Aur Ik Larki

Woh Boli, Dard Ki Jaziyaat Mein Parne Se Kya Behtar

Main Bola, Dard Ko Khush Khush Sahein Aur Kooch Kar Jayein

Woh Boli, Zindagi To Dairon Ke Phailne Se Hai

Main Bola, Maut Bhi Ik Daira Hai Door Tak Phaila

Woh Boli, Rooh Ke Andar Kahin Per Aag Jalti Hai

Main Bola, Haan Dhuan Main Ne Bhi Dekha Hai Nigahon Mein

Woh Boli, Ik Dahekta Shor Sharyanon Mein Behta Hai

Main Bola, Haan Badan Per Aabley Maine Bhi Dekhein Hain

Woh Boli, Saans Per Bhi Dard Ke Korhay Baraste Hein

Main Bola, Haan Lahoo Per Neel To Maine Bhi Dekhein Hain

Woh Boli, Zaat Ki Teh Mein Na Jaane Kya Nahan Hoga

Main Bola, Jism Per Ubhri Waredon Se Bhi Zahir Hai

Woh Boli, Daq Zada Jeevan Chupati Phir Rahi Hoon

Main Bola, Nakhunon Ki Zardiyon Ne Ker Diya Aryan

Woh Kehti Hai, Teri Jaibon Mein Itne Khwab Kyunkar Hain

Main Kehta Hoon Ke Duniya Mein Mujhe Zinda Bhi Rehna Hai

Woh Kehti Hai, Tere Kalar Pe Mitti Ka Nishaan Kaise

Main Kehta Hoon Ke Majboori Alamat Chor Jati Hai

Woh Kehti Hai, Teri Aawaz Mein Masoomiyat Si Hai

Main Kehta Hoon Ke Yeh Mazloomiyat Ke Baad Aati Hai

Woh Kehti Hai, Tere Chehre Pe Karb Be-Karan Kaisa

Main Bola, Dil Ne Chehre Per Zara Sa Rang Chora Hai

Woh Kehti Hai, Tere Haathon Pe Zakhmon Ke Manazir Kyun

Main Kehta Hoon Ke Kuch Zevar Bare Anmol Hote Hain

Woh Boli, Umar Beeti Koi Bhi Milne Nahi Aaya

Main Bola, Umar Se Pooch Ke Aakhir Umar Kyun Beeti

Woh Boli, Husn Dhalne Ke Liye Hota Hai, Lagta Hai

Main Bola, Husn Ho, Ya Bakht Ho, Ya Chand Sooraj Hon

Woh Ab To Zulfon Mein Bhi Chandi Si Sarak Aayi

Main Bola, Rooh Tak Main Bhi Dararhein Parh Gayi Hongi

Woh Boli, Haath Dekho Be-Iradah Hi Larazte Hain

Main Bola, Haath Dikhlao To Phir Dekho Bhi Himmat Se

Woh Boli, Zindagi Ka Aakhri Kardaar Hairat Hai

Main Bola, Maut Se Pehle Koi Ghar Baar Hairat Hai...