Sad Urdu Poetry | Tujhe Ishq ho Khuda kary...




Tujhe Ishq ho Khuda kary
Koi us ko tujh sy juda kary


Tery hoont hasna bhool jain
Teri aankh pur-nam raha kary


Tu us ki batain kia kary
Tu us ki batain suna kary


Tu us ko dekh k ruka kary
Wo tujh ko dekh k chala kary


Tujhe sehar ki wo chhari lagy
Tu Milan ki har pal dua kary


Tu tarpy us k Ishq main
Usy bhoolny ki Dua kary


Tujhy Ishq ho phr yaqeen ho
Usy tasbiyoon main perha kary


Tery samny tera ghar jaly
Tera bus chaly na bacha saky


Tera Dil yehi Dua kary
Na ghar kisi ka jala kary...